sarwar kahoon ke maliko lyrics
Sarwar Kahu Ki Maaliko Moula Kahu Tujhe Naat lyrics
सरवर कहूं कि मालिको मौला कहूं तुझे
बाग़े ख़लील का गुले ज़ैबा कहूं तुझे
Sarwar Kahu(n) Ki Maaliko Moula Kahu(n) Tujhe
Baghe Khaleel Ka Gule Zaiba Kahun Tujhe
ह़िरमां नसीब हूं तुझे उम्मीदे गह कहूं
जाने मुरादो काने तमन्ना कहूं तुझे
Hirma(n) Naseem Hu Tujhe Ummide Gah Kahu(n)
Jaane Muraado Kaane Tamanna Kahu(n) Tujhe
गुलज़ारे क़ुद्स का गुले रंगी अदा कहूं
दरमाने दर्दे बुलबुले शैदा कहूं तुझे
Gulzaare Quds Ka Gule Rungi Ada Kahu(n)
Darmaane Darde Bulbule Shaida Kahu(n) Tujhe
सुब्ह़े वत़न पे शामे ग़रीबां को दूं शरफ़
बेकस नवाज़ गेसूओं वाला कहूं तुझे
Sub’he Watan Pe Shaame Ghariba(n) Ko Doo(n) Sharaf
Bekas Nawaaz Gesuo(n) Wala Kahu(n) Tujhe
अल्लाह रे तेरे जिस्मे मुनव्वर की ताबिशें
ऐ जाने जां मैं जाने तजल्ला कहूं तुझे
Allah Re Tere Jisme Munawwar Ki Taabishe(n)
Ey Jaane Jaa(n) Mein Jaane Tajalla Kahu(n) Tujhe
बे दाग़ लालह या क़-मरे बे कलफ़ कहूं
बे ख़ार गुलबुने चमन-आरा कहूं तुझे
Be Daagh Laal’ha Ya Qamre Be Kalaf Kahu(n)
Be Khaar Gulbune Chaman-Ara Kahu(n) Tujhe
मुजरिम हूं अपने अ़फ़्व का सामां करूं शहा
या’नी शफ़ीअ़ रोज़े जज़ा का कहूं तुझे
Mujrim Hun Apne Afw Ka Saama(n) Karu(n) Shaha
Yaa’Ni Shafi-E Roze Jaza Ka Kahu(n) Tujhe
इस मुर्दा दिल को मुज़्दा ह़याते अबद का दूं
ताबो तुवाने जाने मसीह़ा कहूं तुझे
Is Murda Dil Ko Muzda Hayat-E Abad Ka Doo(n)
Taabo Tuwaane Jaane Maseeha Kahu(n) Tujhe
तेरे तो वस्फ़ ऐ़बे तनाही से हैं बरी
ह़ैरां हूं मेरे शाह मैं क्या क्या कहूं तुझे
Tere To Wasf Aibe Tanahi Se Hein Bari
Hairan Hun Mere Shah Mein Kya Kya Kahu(n) Tujhe
कह लेगी सब कुछ उन के सना ख़्वां की ख़ामुशी
चुप हो रहा है कह के मैं क्या क्या कहूं तुझ
Kah Legi Sab Kuchh Unke Sana Khwa(n) Ki Khamushi
Chup Ho Raha Hun Kah Ke Mein Kya Kya Kahu(n) Tujhe
लेकिन रज़ा ने ख़त्म सुख़न इस पे कर दिया
ख़ालिक़ का बन्दा ख़ल्क़ का आक़ा कहूं तुझे
Lekin RAZA Ne Khatam Shukhan Is Pe Kardiya
Khalik Ka Banda Khalk Ka Aaqa Kahu(N) Tujhe
Translation by Abu Hasan [sunniport.com]
sarwar kahuN ke mālik o maulā kahūN tujhe
bāgh e khalīl kā gul e zeybā kahūN tujhe
Shall I call you my prince; or shall I say ‘my Lord and Master?
I must say that you are the most beautiful flower in Khalil’s garden
hirmāN nasīb huN tujhe ummīd gah kahūN
jān e murād o kān e tamannā kahūN Tujhe
I am a wretch, among the unfortunate; and you art the treasure of hope
You are the very soul of hope and the wellspring of aspiration
gulzār e quds kā gul e rangīN adā kahūN
darmān e dard e bulbul e shaydā kahūN tujhe
You are the most colorful flower from a blessed and hallowed garden
You are the comfort to the pain of the yearning nightingale
subh e waTan pe shām e gharībāN ko dūN sharaf
beykas nawāz geysuoN wālā kahūN Tujhe
Shall I favor the night of a stranger upon the day in his own land,
I hail thee as the one with kind and generous, bestowing hair.
Allāh re, teyre jism e munawwar ki tābisheN
ay jān e jāN maiN jān e tajallā kahūN tujhe
By Allāh! the radiance of your lightsome body,
O the life of my life! thou art the life of light!
bey dāgh lālah yā qamar e bey kalaf kahūN
bey khār gulban e chaman āra kahūN Tujhe
You are the spotless tulip, the unstained moon
A thornless flower, the pride and glory of the garden
mujrim huN apne áfw ka sāmāN karūN shaha
yánī shafīy roz e jazā kā kahūN tujhe
I am a sinner and I must make provisions for my salvation,
So, I hail thee as my intercessor on Judgement day.
is murdah dil ko muzhdah hayāt e abad ka dūN
tāb o tawān e jān e masīhā kahūN Tujhe
Shan’t I give glad tidings of an eternal life to this lifeless heart –
You are the strength, the vigor and soul of the reviver, the messiah.
terey to wasf áyb e tanāhī se haiN barī
hayrān huN mere shāh maiN kya kya kahūN Tujhe
Your attributes are free from every flaw,
I am perplexed my Master! What shall I call thee?
kah legi sab kuch unke sana khwān ki khāmoshi
chup ho rahā hai kah ke maiN kya kya kahūN Tujhe
The speechlessness of his admirer will tell all –
I keep quiet thus, after having said: ‘How can I describe thee?’
lekin raza ne khatm e sukhan is pe kardiyā
khāliq ka bandah khalq ka āqā kahūN tujhe
Yet, Raza ends his speech by saying this:
You are the servant of the Creator, and the Lord of the creation