SAHAB E REHMAT E BAARI HAI BARAHVI TAREEKH NAAT LYRICS
Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
Karam Ka Chashma E Jaari Hai Barahvi Tareekh
Hame To Jaan Se Pyari Hai Barahvi Tareekh
Aduu Ke Dil Ko Katari Hai Barahvi Tareekh
Isi Ne Mousame Gil Ko Kiya Hai Mousame Ghul
Bahar E Fazl E Bahari Hai Barahvi Tareekh
Falak Pe Arshe Baree Ka Ghuman Hota Hai
Zameen E Khuld Ki Kyari Hai Barahvi Tareekh
Tamaam Ho Gayi Meelad E Ambiya Ki Khushi
Hamesha Ab Teri Baari Hai Barahvi Tareekh
Khuda Ke Fazl Se Imaan Me Hai Hum Poore
Ke Apni Rooh Me Saari Hai Barahvi Tareekh
Wiladat E Shahedee Har Khushi Ki Ba-is Hai
Hazaar Eid Se Bhaari Hai Barahvi Tareekh
Hamesha Tune Ghulamo Ke Dil Kiye Thande
Jale Jo Tujhse Wo Naari Hai Barahvi Tareekh
Aduu Wiladat E Shaita(n) Ke Din Manaye Khushi
Ke Eid Eid Hamari Hai Barahvi Tareekh
Hasan Wiladat E Sarkaar Se Huva Roushan
Mere Khuda Ko Bhi Pyari Hai Barahvi Tareekh
Sahab-e-Rehmat-e-Baari Hai Barahvi Tareekh
Karam Ka Chashma-e-Jaari Hai Barahvi Tareekh
Humain To Jaan Se Pyari Hai Barahvi Tareekh
Adu Ke Dil Ko Katari Hai Barahvi Tareekh
Isi Ne Mousam-e-Gil Ko Kiya Hai Mousam-e-Ghul
Bahar-e-Fazl-e-Bahari Hai Barahvi Tareekh
Falak Pe Arsh-e-Bari Ka Ghuman Hota Hai
Zameen-e-Khuld Ki Kyari Hai Barahvi Tareekh
Tamam Ho Gayi Meelad-e-Ambiya Ki Khushi
Hamesha Ab Teri Baari Hai Barahvi Tareekh
Khuda Ke Fazl Se Imaan Mein Hai Hum Poore
Ke Apni Rooh Mein Saari Hai Barahvi Tareekh
Wiladat-e-Shahidee Har Khushi Ki Ba-is Hai
Hazaar Eid Se Bhaari Hai Barahvi Tareekh
Hamesha Tune Ghulamo Ke Dil Kiye Thande
Jale Jo Tujhse Wo Naari Hai Barahvi Tareekh
Adu Wiladat-e-Shaitan Ke Din Manaye Khushi
Ke Eid Eid Hamari Hai Barahvi Tareekh
Hasan Wiladat-e-Sarkaar Se Hua Roushan
Mere Khuda Ko Bhi Pyari Hai Barahvi Tareekh
Note: “Barahvi Tareekh” refers to the twelfth day of Rabi’ al-Awwal, which is widely celebrated by Muslims as the birthday of Prophet Muhammad (peace be upon him). The poem expresses love and reverence for the Prophet and highlights the significance of his birth in Islamic history.